Sunday, April 02, 2006

Yeh baat samajh mein aaye nahein :-S

.
Ye baat samajh main aai nahi
Aur Ammi ney samjhai nahi
Main kaisay meethi baat karoon?
Jab meethi cheezein khai nahi

Aapi bhi pakaati hain Halwa
Woh aakhir kiyon 'Halwaai' nahi?
Bhayya ki mangni ho gai kal
Kyun kal hi 'Dulhan' mangwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Naani ke miyaan jab Nana hain
Dadi ke miyaan jab Dada hain
Tab Aapi se main ne poocha
Baaji ke miyaan kiya 'Baaja' hain?
Woh huns huns kar youn kehnay lagi
A bhai nahi youn bhai nahi
Ye baat samajh main aaai nahi

Jab naya maheena aata hay
Bijli ka bill aa jaata hay
Halaankey Baadal bechaara ye bijli mufft Lutata hay
Phir hum ne apnay ghar Bijli Kyun Badal se lagwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Gar Billi ' Shair' ki khala hay?
Phir hum ne ussay kyun pala hay?
Kiya 'Shair' bohat nalaayak hay?
Khala ko maar nikala hay?
Ya jungle ke Raja kay yahaan Kya milti doodh malaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke?
Kyun uss ki tind kraai nahi?
Kiya woh bhi Ganda bacha hay?
Ya uss ke Abbu bhai nahi?
Yeh uss ka 'Hair Style' hay? Ya Jungle main koi Naai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Jo Taaray jagmag kartay hain
Kya unn ki ' Chachi Taai' nahi?
Ho ga koi rishta sooraj se?
Ye baat humain batlaai nahi
Par Chanda kaisa mamoo hay?
Jab ammi ka woh 'bhai' nahi?
Ye baat samajh main aai nahi Aur Ammi ne samjhaai nahi
Main kesay meethi baat karoon?
Jab meethi cheezein khai nahi...
.